na mila kar udass logo se..

na mila kar udass logo se..
na mila kar udass logo se..

husan tera bikhar na jaye kahen..
  

May, 29 2010     65 chars (1 sms)     2139 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kabhi aa ker mujhse mil, mera haal mujhse poch...

Ghairon ke kehne pe youn badguman na ho...
shishA Dil to jur nA Paey Ga

kis lhay kaanch ab youn Chunte Ho

koi tabeer he nhi inki

Bewaja ..ali khwab bunte ho
usi ik fard k wasty mere dil main dard kis liye..?
mere zindagi ka mutalba wohi aik shaks kis liye..?
to jo shaher main hi mukeem hai,,tu musafrat ki fiza hai kio..?
tera jo kawaran nahi gaya,tu yeh hawa main gard kis liye…
jo likha ha mere naseeb mian,kahin tune par tu liya nahi…?
Tere hath sard hain kis liye,tera rang zard hai kis liye..?
Woo jo tark-e-taluq ka ehad tha,kahin tootne tu nahi laga…?
Tere dil main dard ko dekh ker ,mere dil main dard hai kis liye..?
Koi wasta jo nahi raha,tere ankh main yeh nami hai kio..?
Mere gham ki aag ko dekh kar,teri aah sard hai kis liye..
har dil mai dard daba hota hai,

bayan karne ka andaaz juda hota hai,

kuch log ankhon se dard baha lete hain,

Or kisi ki hansi mai hr ghum chupa hota hai...
jaatay jaatay wo mujhe achi nishani day gaya
umr bhar dohraaoongi,aysi kahaani day gaya

us say may kuch paa saku?aysi kahan umeed thi
gham bhi wo shayad baraay-e-meherbaani day gaya

sab hawaayen lay gaya mere samandar ki koi
aur mujh ko aik kashti baadbaani day gaya

khayr main piyaasi rahi par us nay itna to kia
meri palko ki qataaron ko wo paani day gaya...
kismat pe aitbar kis ko hay
mil jaiy khushi inkar kiss ko hay
khuch majburian hain zindgi main verna
judai say pyar kiss ko hay
Mosam Ko Mosam Ki Baharon ne Lutta,

Kashti Ko Sahil K Kinaroo ne Lutta ,

Woh Tu ek Hi Qasam Se Dar Gaye ,

Humain tu Unki Qasam De kar Hazaroon Ne Lutta
Raaton mein aagar na ashk bahaun tou kya karoon,
Ik pal bhi us ko bhool na paun tou kya karoon,
Maine suna hai un ko andhare nahin pasand,
Raahon mein ab main dil na jalaun tou kya karoon,
Tum hee kaho chhod day jab zindagi bhi saath,
Phir maut ko gale na lagaun tou kya karoon,
Socha thaa kee chhod doon un ki gali,
Lekin kahin qaraar na paun tou kya karoon,
Jab insaan k jism se roh nikali jati hai to wo itni buri tarah se aawazen nikalta he k sath wala dar k mary mar jaye.
mahobbat me mene kya kuchh nahi luta diya?mahobbat me mene kya kuchh luta nahi diya?unko pasand thi roshni!!or mene khudko hi jala diya.....
Raat kat''ti rahi Chaand chalta raha,

Aatish-e-hijar main koi jalta raha,

Tanhaiyaan dil ko dasti raheen

koi bey chain karwatain badalta raha,

Aas o umeed ki shama roshan rahi

Ghar ki dehleez ko koi yon hi takta raha,

Raat bhar chaandni gungunaati rahi

Raat bhar koi tanha sisakta raha,

Us Khuda ka shukar ha
Qaid-e-Adem se khalasi di
Or....... Mere Wajood ko zahir kiya
Or....... Mujh ko Hadayat ki
Or
Apni zaat ka Irfan mere Dil mein Naseeb kiya
Yahan tak...........
Ke mein ne Us ko Pehchan lia
Or Dekh Liya......!!