Love SMS Messages1552 messages

Haqiqat ho tum kese tumhay sapna kahu,
Qurban hai meri jaan tujh par
kise tere siwa mein apna kahu
AK
The opposite of "Love" is not Hate,its opposite is to Avoid

Shakespeare said"if u d'nt Love me so plz Hate me but don't avoid me"
it hurts..
Mujh Mein khoshbu basi usi ki hai"

"Jaisay ye zindgi usi ki hai"

"Wo kahin Aas Pass hai Mere"

"Ho na ho ye Hansi usi ki hai"

"Ab to ye khuwab bhi nahi Mere"

"Ab to ye Neend bhi usi ki hai"

"Ya to koi kami nahi Mujh mein"

"Ya phir mujh mein kami usi ki hai'
Meri dunya main beshak andhera rahe
Tere lab pe hansi ka basera rahe
Phool khiltay rahen tere 4ron taraf
Tere har simt khushbu ka daaira rahe
Zindagi main teri shaam aaye nahi
Ek chamakta damakta saweera rahe
Tu mere sang ho ye zaroori nhi
Bas tu jahan b rahe sirf mera rahe.
TujhE Chahte Hy Be-Inteha Pr Chahna Nhi Ata
Ye Kesi Muhabat Hy K mjhe Kehna Nhi Ata
Zindgi Me Aa Jao mri Zindgi Bn Kr
K Tere Bn mujhe Zinda Rehna Nhi Ata.

hum wafa kay aadi hum har dum wafaa karin gey

Bun kar faqeer teri zindagi ki dua karin gey
Muddat se jin ki aas thi, Woh milay b tou kuch youn milay,

Hum Nazar utha kar tarrap uthay, Woh nazar jhuka kar guzar gaye...
Kaash main teri haseen
Ankhon ka kajal hota.
Tere ronay se tere saray
Ansuon ko pi jata.

Raat ko be-khabri me Jo
Tujhe mera khayal aata.
Tu main teri ankhon me
kuch pehlay se ziada
Tehal jata.

Subha jab tum apne
Naram hathon se saf
karti mujhe.
Tu main tere nazuk
Hathon pe lag sa jata.

To apni ankhon me
Hamesha pyar se lagati
Mujhe,
Tu na kabhi khud se
Juda kar pati mujhe.

Youn teri rangeen dunya
Me rehta madhosh.
Umar bhar me karta teri
Ankhon ko roshan.

Kash main teri haseen
Ankhon ka kajal hota.

¤KinG Of SmS¤007
Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee

Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee,
mager us din bohot daer ho jai gee ,


kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee….
Basti mein hai wo sannata k jangal maat lagy..
Shaam dhaly bhi ghar pohanchon to aadhi raat lagy..
Khat mein dil ki batein likhna achi baat nahi,
Ghar mein itnay log hein jaany kis k haath lagy…
Un sy bichray dil ko ujray barson beet gaye,
Aankhon ka ye hal abhi tak kal ki baat lagy…
Mutthi band kiye baitha hon k koi daikh naa ly,
K chaand pakarny ghar sy nikla “jugnoo” haath lagy
Yahan Lehroon Nay Saahil Say Judda Hona Hi Tha
Jis Tarhan Hum Nay Chaha Us Tarhan Hona Hi Tha
Raiza Raiza Ho Kar Beekhra Fizzaon Main Baddan
Chaandni Ki Chaah Main Yeh Haadsa Hona Hi Tha

Hadoon Say Ghuzar Kar Hum Nay Pooja Tha Jinhain
Un Haseen Logon Nay Aakhir Dewata Hona Hi Tha
Ummar Bhar Dil Shaad Rehta Tark-E-Ulfat Pay Mera
Ek Baar Tu Woh Poochta Agar Bewafa Hona Hi Tha
Hain Mundaamil Ab Chahatoon K Woh Zakham
Jal K Dil Ki Raakh Nay Aakhir Dawa Hona Hi Tha
Uski Batein To Phool Hon Jaise
Baki Batein Babool Hon Jaise

Choti Choti Si Uski Do Ankhen
Do Chameli Ke Phool Hon Jese

Uska Hass Kar Nazar Jhuka Lena
Sari Shartein Kabool Hon Jaise

Kitni Dilkash Hai Uski Khamoshi
Sari Batein Fezool Hon Jaise

Uski Batein To Phool Hon Jaise
Baki Batein Babool Hon Jaise.