Islamic SMS Messages334 messages

Hadees!
Tum Me Se 1 Shakhs Gunah Karta Hai
Aur Is Ka Gunah Nama Amaal Me Likh Dia Jata Hai,
Phr Wo Toba-o-Astaghfar Krta
To ALLAH TA'ALA use Muaf Kar Deta Hai!

Aap(S.A.W.W)Ne Yeh Irshad 2 Bar Frmaya,
Phr Frmaya K Jub Tak Tum Toba-o-Astaghfar Se Na Uktao
To ALLAH TA'ALA Muaf Karne Se Nahi Uktata." Tibrani
Jab Subha Utho to Kalma Tayyba Parho
Kyon k Marne k baad jab Qabar Mai Farishte
Hum Se sawal jawab karne Aengay or humain Utthaengy or Pochhengy
K tumhara RAB kon Hai?
Tumhara DEEN kya hy?

To hum Apni Aadat k mutabiq Kalma Tayyaba Parte Hue Utthengy
Or Kalma Tayyaba Mai He un Farishton k Sawalon k Jawab Mojod Hen.
Koi DOCTOR Science Oarhe bina Doctor ban Sakta hai?

Nahi na?

To

Sochiye K

Hum QURAAN Aur NAMAZ parhe Bina MUSALMAN kesy Banain Gey?

THINK ABOUT IT.
Ta'ajjub Hai:

KHUDA Apni Itni Sari Makhlooq Me Se Bhi
Meri Choti Se Choti Zaroorat Nhi Bhoolta.

Or

KHUDA To Ek Hi He,
Phir Bhi HUM Use Bhool Jate Hain.
Din Mai 5 time Namaz Parhne ko Apne Aadat Bana Lo
Sirf ye soch Kar k kya pata k ye Azan Tm Aakhry Bar Sun rhe ho?
Kya pata Tmhara Rab Tumhai Aakhre bar Pukar Raha Hai?

80% log Tum mai se ise fwd nahe krte.
ALLAH TALLAH frmate hai k agar Tum apne Logo k Samnay
Mujhe Radd Kroge to Mai Tumhe Apne nazar mai Radd kar Dunga!
Jo shakhs raat ko sote waqt aik bar Ayat-al-Kursi parhta he’ Allah Pak frmata he

“Ay Farishto! Jao mere is bande ki hifazat karo”

magar yehi banda jab teen martaba Ayat-al-Kursi parhta he to Allah Pak Farishton se farmata he ,

“Wapas ajao ,Ab Me khud is ki hifazat karun ga”

SubhanAllah
Hazret Ali se ksi ne pucha
"yeh kese pata chale ga k jo pareshani ya musebet hem pe ai hey wo Allah ki tref se saza hey ya azmaish".
Aap ne jwab men frmaya
"jo musebet tujhe Allah ki tref le jay wo azmaish hey jo musebet tujhe Allah se dur kr dey wo saza hey".
Apni aarzuon ko dil hi me maar dalo or dilon ko in me na marne do [hazart umer bin abdul aziz r.h]
Beshak jo log bin dekhe apne rab se darte hain un k lye bakhshish aur bahut bara ajar e azeem hai .(surah mulk-12)
Insan jab paida hota hai to azan di jati hain namaz nai parhi jati aur jb marta hai to namaz parhi jati hai azan nai di jati yani zindagi ka safar azan se namaz tak hai
Jaan Jis May Hai Usay Rizq Khuda Deta Hai ,,,
Wo To Keeray May Bhee Pathar Ko Ghiza Deta Hai ,,,
Din Ko Sooraj Ko Zamanay Ko Zeya Deta Hai ,,,
Raat Ko Aasmaan Chand Taaron Say Saja Deta Hai ,,,
Gharq Kar Deta Hai Fir'on Kay Lashkar Ko ,,,
Wo Qafila-e-Moosa Ko Paar Laga Deta Hai ,,,
Aag May Daal Diye Jatay Hain Aashiq Uskay ,,,
Aur
Wo Aag Ko Gulzar Bana Deta Hai ,,,
Wo Azal Say Hai Aur Abad Tak Rahay Ga ,,,
Ussi Par Emaan ! Insaan Ko Musalman Bana Deta Hai !!!
SubhanALLAH
http://sms-collection-mobile.blogspot.com/
Namaz main"RUKU" k baad or "SAJDEY" se pehle sakoon se seedha khara hona wajib hai.
Is halat ko "QOMA" kehte hain.
Issi trha dono sajdon kjdoon ke darmiansakoon se seedha baithna bhi "WAJIB" hai
Is halat ko "JALSA" kehte hain