Islamic SMS Messages334 messages

karbala ki khak per kiya admi sajday main hai

maut ruswa ho chuki hai zindagi sajday main hai

ALI(A.S)ka bach raha tha waqt-e-fajar

FATIMA(S.A) KA LAL SHAYAD AB USI SAJDAY MAIN HAI
Hussain Mera
Hussain Tera
Hussain Rab ka
Hussain Sab Ka
Hussain Gar na
Shaheed Hota
Tou Aaj Ghar Ghar
Yazeed Hota
Khuda k Ghar Main
Azaan Na Hoti
Nabi[S.a.w] Ki
Sunnat Ada Na Hoti
Is Aasrey Pe Dil-e-Beqarar Zinda Hai

Koi Tou Ashqo''n Ka Umeedwar Zinda Hai

Gham-e-Hussain Ko Biddat Zara Sambhal K Kaho

Abhi Hussain Ka Ek Sogwaar Zinda hai
Bayt Ya Sir Yehi Tha Taqaza Yazeed Ka
Mayus To Hussain ne Usko Bhi na Kya
Bayt Na Ki Hussain Ne , Sir De Dya Use
Is Sar se To Yazeed Bhi Khali Nahi Gaya
As''hab to Sabhi The Magar Waqt e Intiqal
Manga Tha Jab Nabi ne Qalam,Kyun Nahi Dya?
Bolay ye Intiqam Tha Khyber Ki Jang ka
Us Waqt Nabi ne Hamko Alam Kyun nahi dya ?
Nazar Gum hai Nazaro Ko Badi Takleef Hoti Hai
Baghair unke nazaro ko Badi Takleef Hoti Hai
Nabi Kehte The ye Aksar Ke Aksar Zikr e Haider Se
mere Kuch Jaan Nisaro Ko Badi Takleef Hoti hai
Mehraab par Ali(AS) hein to mimbar pe bhi Ali(AS)
Ka''aba gawaah dosh-e-Payambar(SAWW) pe bhi Ali(AS)

Khandaq, Uhad, Hunain to Khaibar mein bhi Ali(AS)
Hijrat ki shab Rasool(SAWW) k bistar pe bhi Ali(AS)

Har jaa Ali(AS) mileingay na daaman bachaiye
Bachna Ali(AS) se hai to jahannum mein jaaiye
Hasan(AS) hai naam Konain ka Dulara hai
Khudaee aik taraf yeh khuda ka pyara hai
Ali(AS) ka noor-e-nazar Syeda(SA) ka lakht-e-jigar
Nabi(SAWW) ki aankhon ka pehla haseen tara hai
Na Janay Khoobsorat kis Qadar THA WOH ALI ZADA(A.S)
Farishtay Deakhny Aatay thay US AHSAN NAMAZI (A.S) KO
jahan pe QASIM O AKBAR , SAJJAD JESE THAY
Wahan QAMR e BANI HASHIM Kaha Jata tha GHAZI (A.S) ko.
Abbas(as) Tajdaar-e-Wafa Arjumand hain
Aisay Khuda pasand khudi ko pasand hain
Panjay Alam pay nasb hain Dunya yeh dekh lay
Ghazi k Haath kat k bhi kitnay buland hain.
Woh Jo Rangeen Hua Khoon-e-Shabbir(a) Say
Aasmaan Se Bhe Uncha Woh Parcham Karo
Karbala Say Yehi Aarahi Hay Sada
Zindagi Chahtay Ho To Matam Karo
itni c bus hikayat-e-EHD-e-ZAMANA hai
HUJJAAT KHUDA ki asal hai baqi fasana hai
Ghairoon ne jo IMAM banaye thay chal basay
Zinda faqat hamara IMAM-E-ZAMANA(a.s) hai